Monday, 10 November 2014

In my leisure time ( Poem )

Bhagalpur  Hai Jaan Meri

Chota hai par saan wahi, Bhagalpur hai jaan meri,
Vickramsila, Ganga me Dolphin aur silk hai pahchan meri.
Daani karna ki hai ye bhumi, Shahjungi ki Aan yahin,
kya hindu aur kya muslim,jab basta sab me jaan wahi.

Hare khet maidam wahi,Charkhe par par ghumti jaan meri,
koi kishan majdoor koi,wyawasai bhi to hai yahin.
Vidwano ki nahi kami,baste the dinkar aur rahul yahin,
Doctor engineer ka kya kahna, khoj lo pure bharat me kahin.
mata-bahno me sanskar yahi, Yuva bugurgon ka maan yahi,
kuppa ghat me sant yahin,Aur ghuran baba pir yahin.
Sangeet Avinay me bhu nahi kami,Kahin torsa to sharma hai kahin,
hain junuun maidan yahin, Jahan dhoni v khale the kabhi.
Yuva bhaiyon ki dhadkan hai yahin, sriyash Vmart jao to sahi,
jai prakash unhyan yahin, Chalti hai ghantaghar main ghadi.
bag bagiche kaet kahin, koyal ki geet aur aam kahin,
Hum bhi hai yahin,Aap bhi hai yahin,Aur Bhagalpur hai jaan meri.







No comments:

Post a Comment